-->

Download Greenify App And Save Your Battery Life And Make Your Phone Faster

- May 03, 2017

How Make Your Phone Faster And Save Your Battery Life?

Hello friends welcome Back to India Smart Help apme se har koe self phone user hai chahe vo feature phones ho ya Android smartphone ho ya phir iphone ho sabka apna ek choice aur expriance hota hai but sabki ek common sikayat hoti hai har koe yahi kahta hai ki uska jo phone ki battery bahot kam chal rhi hai ya phir uska phone jo hai hang ho rha hai lagbhag har android smartphone ya iphone user ki sikayat hoti hai apne dosto se aise me vo paresan hokar Internet par search karte hai "" How boost my battery life/How to make my phone faster"" ya phir tamam antivirus app search karte hai aise me result ye ata hai ki user playstore me maujud tamam fake antivirus hote hai jo ki unke Rating aur Downloads dekhkar vo bhi download kar lete hai aur install kar run kar dete hai usme kuchh fake features jaise ki ap uske clean icon ko swipe karo aur apka 300MB phone ka Storage free kar dega ya phir apko show karega ki apke phone me 500MB junk file hai ap ok karo ye apke liye clean kar dega aur ap sab ok bhi kar dete hai pta nhi kya proccecing kar apko fake dikha dega ki congratulations apka 500MB junk file clean kar diya gya ayr ap ye dekh kush ho jate hai aur app apse 5 Star Rate karne ke liye apse request karta hai aur ap bhi khusi khusi 5 Star rate kar dete hai jo ki apke 5 Star rate ko dusra new user dekh vi bhi download kar lega friends real me aisa nhi hota ye sabhi playstore me jitne Clean Master ya antivirus app hai sab ki sab fake hai aur ye apke phone ko Boost karne ke bajay apke phone slow kar deti hai ye apke phone me hamesa background me run karti rahti hai sath hi apke phone ka important Memory Ram hai uska kaphi space le leti hai joki apne phone ke liye khatarnak hoti hai kabhi kabhi user apne phone Clean Master ya Antivirus install kiya hota hai joki uska phone already slow hai phir antivirus clean master etc. Ki vajah se aur hi slow kar deta hai aur user majburan apne phone ko reset ya restore Factory karna tak padta hai 

How make your phone faster

How To Get Maximum Talktime On your Android Phone?

Friends mai apko bata du ki koe bhi Android phone hai yadi ap use normally use karenge to apko phine bilkul safe hai yadi apke phone ki battery kam chal rhi hai ya phir apka phone hang ho rha hai to jaruri nhi ki apka phone kis company ka hai ya phir kisi local company ka hai jaruri ye hai ki apke phone ka uses kaisa hai ap live wallpaper ya Truebalance ya antivirus Clean Master jaise apps install kar ke rakhe hote hai ye jinte bhi apps hote sab background me run karte rhte hai jo apke phine ke battery aur apke phone ka speed bhi slow kar rhe hai sath hi sath apke battery ki life par bura effect dal rhe hai aise me apko kya krna chahiye mai apko bataunga ki ap kis prakar apne battery ki Talktime anu phone ki speed ko 100% effectly boost karega mai ye nhi kahta ki apka phone mire than speedy ya 10 hours apke battery ki talktime bad jayegi ha jarur itna kahunga ki apka phone normally jitna speed se aur jitna battery talktime hona chahiye utna jarur hoga 
To friends ap es post last tak read kijiye ap jarur jan payenge ki ap kis prakar apne phone ko normaly faster aur normal battery talktime bada payenge vo bhi hindi me

Greenify app is a best battery saver and phone speed booster free

Dosto aj mai jis app ke bare me batane vala hoon vo app really me 100% real work karta hai bina koe phone ko nuksan pahuchaye aur ye bhi apke phone me background me run karta hai but only 5MB apke Ram ka space leta hai joki ek normal hai but uske badle apko ya apke phone ko 40% tak battery save karta hai aur 30% tak phone ko fast kar deta ye greenify app us sabhi anti virus ya clean master app se 90% batter hai aur realy work karta hai  friends mai bhi es app ko pichle 4 years se use karta aa rha hoon mera jo xpriance vo am antiviru ya Clean Master se kaphi achha rha hai es liye mai apko suggest kar rha 
Aeye jante hai ki Greenify work kis tarah se karta hai

How to work greenify battery saver on your Android smartphone?

Pyare mitro greenify mostly har phone me installed hona chahiye yadi apka Phone rooted hai to batter hai yadi nhi bhi hai to bhi batter hai only apko accebility ka permission allow karna hai. 
Greenify app accesbility ka permission leke apke phone ye detect karta hai es time phone me kon kon se app background me kitne aur kis liye run kar rhe aur un sabhi unused runing ko stop karta hai jisase apka phone kam heating hoga battery usese kam hogi phone bhi fast hoga 
Apko pta hoga hi ki jitne hi apke phone me app background me run karenge unta hi apka phone heat hoga aur jaldi hi empty hogi phone bhi slow hoga.
Chaliye apko batata hoon ki Greenify app ka setup kaise karte hai? Bda hi simply hai

How to setup greenify app? and get ready for saving battery life. 

Friends apko greenify app ko Playstore se download karna hai ap simply playstore ko open kikiye aur search bar me greenify type kijye aur First vale app ko download kar lijiye greenify app ko icon first vale picture me green leaf ki tarah hai simply ap download kar sakte hai ya phir es link par   ((Click Hare To Download Greenify App))  click karke download kar sakte hai install kar sakte hai.

1>>>  Sabse pahle Greenify app ko open kijiye aur next par click kijiye phir apse ye puchega ki apka phone rooted hai ya non rooted simply select kijiye


2>>>  More than 80% user ka phone non rooted hota hai so ap  ""My devies is not rooted"" select kar lijiye phir next par click kijiye next apko permission allow karne Hai simply ap one by one karke permission allow kijiye accesbility permission allow karne ke liye simply uspe click kijiye ye apko direct accesbility setting me chale jayenge ap vha Greenify ko On kar dijiye



3>>> Ab apka dono permission allow ho chuka hai ydi nhi hua hai to allow kar dijiye jab apke sare permission allow ho jayenge to apko Done ka mark dikhae dega 


4>>> Next apko yes par check lga kar finish kar dena hai ab apko + vale icon par click karke un sare app ko add karna hai jise ap use na hone par background se kill karna chahte hai mere khyal se ap sare app select kar lijiye aur Right icon par click kar dijiye



5>>>  Now ab apka setting ho chuka hai ab ap side menu pe click karke "" Create hibernation shortcut"" par click kar ""Hibernation Now"" par click karke shortcut create kar lijiye


6>>> Ab ap apne home page chale aaye ab ap dekhenge apke Home screen par ek Hibernation now ka icon aa gya hai ab ap simply us par click kijiye aur apke jitne selected background me run kar rhe app bari bari se apne ap close yani stop honge  


Esi tarike se ap din ap 2-3 bar Hibernation Now par click karke manually background app ko kill kar sakte hai
Vaise ye app apke liye hamesha hard work karta rahega 
Yani jab ap apne phone ka screen lock karenge tab ye un sabhi unused runing app ko kill kar dega 
Jisase apki battery duration improve hogi aur long time usage milega aur phone bhi apka hamesha healthy rahega

I hope ke ye post apke liye helpful rahi hogi yadi apko koe dikkat ya phir koe saval ya sujhav hai to plz plz hume comment box me jarur bataye aur aspe choti si request hai ki plz ese social media par jarur share kare 

Thank you...!